Skip to main content

Poetry Beth Jata ho Mitti Pe Aksar Q Ki Mujhe Apni Aukaat Achi Lagti he Mene Samandar se seekha he jeenay Ka Saleeka Chup Chap se Behna Aur Apni Mouj me Rehna Aisa Nahe He Ki Mujhe Me Koe Faraib Nahe He

 







https://youtu.be/5-BMj1JhBuk


Beth Jata Ho Mitti Pe Aksar Q Ki Mujhe Apni Aukaat Lyrics 

Beth Jata ho Mitti Pe Aksar Q Ki Mujhe Apni Aukaat Achi Lagti he
Mene Samandar se seekha he jeenay Ka Saleeka Chup Chap se Behna Aur Apni Mouj me Rehna
Aisa Nahe He Ki Mujhe Me Koe Aib Nahe He Per Sach Kehta Ho Mujhe Me Koe Faraib Nahe He
Jal Jaatay He Meray Andaaz se Meray Dushman
Q ki Mene Aik mudaad Se Mene Na Mohabat Badli aur Na Dost Badlay
Aik Gharri Khareed Kar Haath me Kiya Baandh Li Wakit Peechay He Parr Gaya Meray
Sochta Tha Ghar Bana Kar Rahoga Sukoon Se
Per Ghar Ki Zarurato Ne Musafir Bana Dala
Sukoon ki Baat Mat Kar A Galib
Bachpan Wala Itwaar ab Nahe Aata Shouq To Maa Baap K Paiso Se Pooray Hotay He
Apne Paiso Se To Bus Zaruratay he he Poori Hoti He
Zindagi Ki Baag Dour Ne Q Wakit k Sath Rangat Kho Jaati He Haanti Khelti Zindagi B Aam Ho Jaati He
Aik Sawera Tha Jab Hum Hans K uthtay Thay
Ab Bina Muskurai He Shaam Ho Jaati He
Kitne Dour Nikal Gae Rishto Ko Nibhatay Nibhatay
Khud Ko Kho Diya Apno Ko Paatay Paatay
Log Kehte He Hum Muskuratay Bohat He
Aur Hum Thak Gae he Dard Ko Chupatay Chupatay
Khush Ho Aur Sub Ko Khush Rakhne Ki Koshish Karta Ho
Laaperwa ho Fir b Sub Ki Perwa Karta Ho
Maloom He Koe Mol Nahe He Mera
Fir B Anmol Logo Se Rishta Rakhta ho
Beth jata ho mitti pe Aksar Q Ki Mujhe Apni Aukaat Achi Lagti he
#Poetry
#Heat_Touching_Poetry
















https://youtu.be/5-BMj1JhBuk

Comments